GHOUL

GHOUL

Thursday, August 16, 2018

Bhavesh joshi-superhero:a realistic superhero

To kal raat maine Bhavesh joshi superhero movie dekhi netflix pr,to aaj hum isi movie ke bare me baat krenge.To dekha jaye yeh india ki first real characters pr bne superhero ki movie bni hai jha hero pr koi super powes ni h lekin movie me ache action scenes dekhne ko mil jate hai.

STORY : yeh kahani hai mumbai ke 3 ldko  hai sikander khanna aka harshwardhan kapoor,bhavesh joshi aka priyanshu painyuli and rajat as ashish verma jo anna hazare ke janlok bill ke liye hue movement me mile the and tab se hi teeno best friends ban jate hai.anna hazare ji se inspire hoke yeh teeno ek youtube channel start krte hai jiska naam rkhte h insaaf.5 year channel run krne k baad bhavesh joshi akela hi channel chala rha hota hai aur sikander and rajat uski movement chod dete hai,sb kuch shi chl rha hota hai tbhi bhavesh joshi ko ek scam ke bare me pta chlta hai aur usko disclose krne k chakker me corrupted leaders use maar dete hai.ab sikander khud responsibility leta hai jo bhavesh joshi ne start kia use wo khatam krega.



DIRECTION: Udaan movie se debut krne wale Mr vikramaaditya motwane ne reliance and eros international ke saath  ek movie lekar aaye hai humare aage jo alg hone ke saath saath logo ko hold bhi krke rkhti hai.kuch scenes movie me hai aise jo chote ho skte the aur kuch flash backs ko movie me dalne ki jarurt ni thi lekin agr story telling ka kha jaye wo detailed to nhi hai lekin fir bhi film aapko bandhe rkhegi.











ACTING :  agr mere se pucha jaye to mere liye fav acting rhegi priyanshu painuli ki,usko dekh ke lgta hai kaafi jgh ki apne role ke saath justice kia hai,harshwardhan kapoor ko acting aati hai lekin ab bhi kaafi jgh hai jha wo convince ni kr paata unko lekin aisi movie krte rehni chaiye.baki agr ashish verma ke bare me bola jaye usko role kam mila lekin jitna bhi mila ache se kia lekin is actor ko aur ache se use kr skte the Mr motawane.Nishikant kamat jo ki isme main villan Rana ka role play kr rhe hai inki acting ko us trh se use ni kia gya jaisa use kr lena chaiye tha unke face pr hi wo potential dikhta hai.Hrishikesh joshi and cnhinmay mandlekar ne acha role play kia.shreya sabharwal sikander ki girlfriend bani hai lekin unki acting ko jyada time ni mila is movie me.









Personal view: Agr meri baat li jaye to ek baar dekhne layak movie hai yeh lekin i appreciate the creator ki aisi movie aap market me lear aaye aur aisi movies ke liye special audience bhi hai lekin aisi movies ko aur bhi thriller banana chaiye scene density aisi honi chaiye ki agr jyada lamba bhi scene ho to wo public ko bandhe rakhe.to in the end main yhi bolunga ki ek baar dekhna to bnta h is movie ko aur meri star rating hogi 6.4/10 watch trailor bhavesh joshi








No comments:

Post a Comment